Humari salary hai kam, aur khwaishein kuch jyaada hai
Chaahte hai BMW and Audi, par aukaat me bas Alto aata hai
chahte hai bungalow me rahana, 2 bhk ki EMI bharne me mautt aa jaata hai
'ek deen badha kaurnga kuch' har kisi ka iraada hai
par subah uth kar, dil dukhta hai jab yaad aata hai
Humari salary hai kam, aur khwaishein kuch jyaada hai!
Kisse nahi pasand Dolce Gabbana and Zara cloths
purse chahiye tommy ka and watch from Kenneth Cole
credit card waalon ke recovery ke continuous aate call
Rich ho yaa middle class, sab ke pockets me hai different size ke hole
jitni salary hai utne me big bazar hi afford kar paata hai
Humari salary hai kam, aur khwaishein kuch jyaada hai!
Jaana chaahu roj Hilton, Weston for lunch and dinner
lagau paise on horses par, and i will be the only winner
jab dekho mirror me khud ko, fatte huye hai chaddi and inner
maheene ke end me vadha paav hi mac donalds samjh aata hai,
chhola kulcha hi pizza ban jaata hai
Humari salary hai kam, aur khwaishein kuch jyaada hai!
Iss gareebo aur ameero ki duniya me, common man pis jaata hai
tax bhar bhar kar, naah khush hota hai naa ghamanda aata hai
iss baar badhega tax slab, har baar soch kar woh rah jaata hai
itni mahangayi ki daal aur sabji kharid kar 'wonderful life' ka dream bhi bhool jaata hai
Kya faark padta hai, khwaishein toh humesha jitna hai uss se jyaada hai!